Aaj ke episode mein, Goenka aur Birla pariwar bhagwan ki puja karte hai. Akshara, Abhinav, Arohi aur Abhimanyu murti ko paani mein visarjit karte hai aur bhagwan ki puja karte hai. Shefali, Sureka, Nishtha, Swarna, Mahima, Parth aur Mainsh bhi rasam mein shamil hote hai. Muskaan Kairav ko batati hai ki Abhir gayab hai. Kairav sochta hai ki Abhir ghat pe gaya hoga. Muskaan kehete hai ki Abhir Ruhi ke piche gaya hoga. Kairav check karne jata hai. Muskaan uske piche bhagti hai.
Sandeep Akshara aur Abhinav ko dekh leta hai. Usse lagta hai ki woh Abhimanyu aur Arohi ko Akshara aur uske chamatkar wale baby ke baare mein batana chahiye. Abhimanyu aur Arohi Sandeep ke paas aate hai. Sandeep unhe Akshara aur baby ke baare mein batata hai. Abhimanyu aur Arohi Sandeep se unke baare mein puchte hai par woh Akshara aur Abhinav ko nahi dekh paate hai. Abhimanyu Sandeep se unke naam ka puchta hai, lekin Ruhi aa jati hai aur unka dhyaan hata deti hai. Ruhi gir jaati hai aur Arohi aur Abhimanyu uski fikar karte hai aur use paani pilaate hai.
Abhinav Akshara se kehta hai ki kuch nahi hoga aur wo chinta mat kare. Akshara kehti hai ki wo bechain hai. Sandeep Akshara aur Abhinav se milta hai aur unhe batata hai ki usne Arohi aur Abhimanyu ki madad ki hai, jaise ki unhone Akshara aur uske bhai ke case mein kiya tha. Akshara Sandeep se nivedan karti hai ki unhe unka naam Abhimanyu aur Arohi ke saamne na bataye. Abhinav kahta hai ki kuch bada hai isliye wo unhe naam nahi batana chahte hai. Sandeep Akshara aur Abhinav ko aashvasan deta hai.
Ruhi aur Abhir paani ke paas khelte hai. Kairav Abhir ko dekh leta hai. Usse daant ke kehta hai ki bina bataye ghar se kaise bahar nikal gaya. Kairav Abhir par gussa ho jata hai. Abhimanyu Abhir ko bachata hai aur kehta hai ki wo ek baccha hai aur unhe narami se samjhana chahiye. Abhir rota hai. Abhimanyu usse samjhata hai ki wo har baar akela ghar se bahar nahi nikalna chahiye. Abhir Abhimanyu ko dhanyavad karta hai ki usne use bachaya. Abhimanyu phir se Akshara aur Abhinav ki dekhbhal karne ka faisla karta hai.
Abhinav Akshara se kehta hai ki wo dhire rahne ke liye kahta hai. Akshara kehti hai ki wo Sandeep par bharosa kaise kar sakte hai. Wo kehti hai ki Abhimanyu aur Abhir ek dusre ke karib aa rahe hai. Akshara kehti hai ki koi nahi jaan sakta ki Abhimanyu Abhir ke pita hai. Arohi Akshara aur Abhinav ki baat sun leti hai. Wo heran ho jati hai.
Abhir aur Abhimanyu saath aate hai. Akshara Abhimanyu se poochti hai ki Abhir use kya karke aa raha hai. Manjiri, Swarna aur Manish bhi ek saath khade ho jate hai. Manjiri Akshara par gussa ho jati hai kyunki wo Abhimanyu ki madad karne par bhi Akhir se rude baat karti hai. Abhimanyu Manjiri ko samjhata hai ki Akshara Abhir ke kaaran pareshan hai.
Swarna Muskaan se kisi kaam ko poora karne ke liye kehti hai. Muskaan girne wali hoti hai. Kairav aur Muskaan galti se ek saath kaam poora kar dete hai. Surekha Parth se puchti hai ki wo Shefali ke saath moorti kyun nahi bana rahe hai, kyunki use tasveerein yaad aa rahi thi. Mahima Surekha ki baat kaat deti hai.
Arohi Abhir aur Abhimanyu ko saath dekh leti hai. Uske dil toot jaate hai. Manjiri Goenka aur Birla parivaar ko bata deti hai ki Arohi gayab hai. Abhinav aur Abhimanyu Arohi ko dhoondhne ka faisla lete hai. Ruhi Abhimanyu ko chhodne nahi dena chahti. Akshara Ruhi se kehti hai ki voh Abhimanyu ko jaane de taki wo Arohi ko dhoondh sakein. (Episode Khatam)
Aane wale episode mein: Arohi Abhinav aur Akshara ko bataati hai ki Abhimanyu Abhir ke saath nahi aa sakta. Abhinav Abhimanyu ko taunt karta hai ki voh Abhir ke liye time par nahi aaya.
- Yeh Rishta Kya Kehlata Hai 24th July 2023 Written Updateaaj ke episode mein, Akshara ne Manish ko bataya ki use pata nahi tha ki Abhir ko football ke alawa kuch aur …
- Yeh Rishta Kya Kehlata Hai 23rd July 2023 Written UpdateAaj ke episode mein, Shefali kaam karti hai. Abhimanyu Shefali se baat karne aata hai. Shefali Abhimanyu se puchti hai ki usko …
- Yeh Rishta Kya Kehlata Hai 22 July 2023 Written Updateaaj ke episode mein, Akshara ne Shivu se pucha ki usko kaise chot lagi. Shivu ne Akshara ko bataya ki Abhir shararti …
- Yeh Rishta Kya Kehlata Hai 21th July 2023 Written UpdateAaj ke episode mein, Shefali Nishtha ke saath baat karti hai aur kehti hai ki usey dar hai jab Shivu aayega, toh …
- Yeh Rishta Kya Kehlata Hai 20th July 2023 Written UpdateAaj ke episode mein, Akshara aur Abhimanyu yaad karte hain unki takraar ko. Abhimanyu ko pata chalta hai ki Manjiri ne galat …